woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?

December 30, 2008 at 8:14 am (Mirza Asad ullah Khan Ghalib)

woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

[ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night, roz = day, maah = month, saal = year ]

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?

[ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ?


thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?

[ tasavvur = imagination, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]

‘eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

[ haal = spiritual ecstasy ]

hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?

[ qamaar_khaana = casino, girah = knot/joint ]

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?

[ wabaal = calamity ]

muzmahil ho gaye quwa’a ‘GHalib’
wo anaasir meiN ‘eitdaal kahaaN ?

[ muzmahil = exhausted/idle, quwa’a = limbs, anaasir = elements, ‘eitdaal = moderation ]

Permalink 2 Comments

Kamini Duniya

December 28, 2008 at 4:52 pm (My poetry, poetry)

Kameeni Duniya

is kameeni duniya ma
kitny hi kameeny log basey
jab kam ho to miltay han,
kamena pan dikhaty han.
is kamene dunia me,
kamenay log hi bastay han,
kameeno k is jhurmat me,
kisi ko tanha jab paty han,
Jhoot se is ko wo apnay,
muthi me kar jaty han.
is kameni duniya ma,
kamenay log hi bastay han.
muthi me kar k is masoom ko,
apna kam nikalwaty han,
kamena pan dikhaty han,
in kamenay logo k,
rang roop niralay hoty han,
aur dhang b niraly hoty han,
Ankho se utar k wo dil me,
ahista ahista samaty han,
Eman-o-dil ko badal k wo,
phir kameny chaly jaty han.
Is kameni dunia me,
kameny log hi bastay han.
Matlab me jo miltay han,
Apna kam nikalwaty han,
waqt paarnay par badal jaty han
In me bhary han eyoob kae,
na rishtay in se mehfooz sahi,
Rishtay jo na nibhatay han,
han wahi kameeny bastay jaty han,
is kamini dunia me,
han sab hi kameny hoty han,
Han sab hi kameny hoty han.

I write this Poem. And i love this poem.

Permalink 6 Comments

Pyaari maa mumma

December 27, 2008 at 6:41 am (Songs, Uncategorized)

Ghum ki ye zanjeerein pighal jayengi
Ho khuda pe bhi asar
Tu duaon ka hai ghar
Meri maa meri maa
Pyaari maa mumma
maa meri maa
Pyaari maa mumma

Bigdi kismat bhi sawar jaayegi
Zindagi taraane khushi ke gayegi
Tere hote kiska dar
Tu duaon ka hai ghar
Meri maa meri maa
Pyaari maa mumma
maa meri maa
Pyaari maa mumma

Yun to main sabse nyaara hoon
Tera maa main dulaara hoon
Yun to main sabse nyaara hoon
Par tera maa main dulaara hoon
Duniya mein jeene se zyada uljhan hai maa
Tu hai amar ka jahaan
Tu gussa karti hai
Bada achcha lagta hai
Tu kaan pakadati hai
Badi zor se lagta hai
Meri maa

Meri maa meri maa
Pyaari maa mumma
maa meri maa
Pyaari maa mumma

Haathon ki lakerien badal jayengi
Ghum ki ye zanjeerein pighal jayengi
Ho khuda pe bhi asar
Tu duaon ka hai ghar

Meri maa meri maa
Pyaari maa mumma
maa meri maa
Pyaari maa mumma

Permalink Leave a Comment

Dil Dhoondta, Hai Phir Wohi, Fursat Ke Raat Din

December 27, 2008 at 6:34 am (Myself & I, past, poetry)

Dil Dhoondta, Hai Phir Wohi, Fursat Ke Raat Din
Baithe Rahen ,Tasavurey, Jaana Kiye Huey
Dil Dhoondta, Hai Phir Wohi

Ya Jaadhon Ki Narm Dhoop Aur, Aangan Mein Letkar,
Aankhon Se Kheench Kar Tere Aanchal Ke Saaye Ko,
Aundhe Padhe Rahe Kabhi ,Karwat Liye Huey
Dil Dhoondta Hai

Ya Barfili Sardiyon Mein, Kisi Bhi Pahad Par,
Vaadi Mein Gunjti Hui, Khaamoshiyan Soone
Aankhon Mein Bheege Bheege Se ,Lamhe Liye Huey
Dil Dhoondta Hai

Permalink Leave a Comment

woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?

December 25, 2008 at 1:10 pm (Mirza Asad ullah Khan Ghalib, Myself & I, poetry)

      woh  firaaq aur  woh wisaal  kahaaN ?
        woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

        [ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night,
          roz = day, maah = month, saal = year ]

      fursat-e-kaarobaar-e-shauq  kise ?
        zauq-e-nazzaraa-e-jamaal  kahaaN ?

        [ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]

      dil to dil wo  dimaaGH  bhee na rahaa
        shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal   kahaaN ?

       thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
        ab woh  raanaai-e-KHayaal  kahaaN ?

        [ tasavvur = imagination, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]

      'eisa   aasaaN   naheeN   lahoo   rona
        dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

        [ haal = spiritual ecstasy ]

       hamse    chooTa   qamaar_KHaana-e-ishq
        waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?

        [ qamaar_khaana = casino, girah = knot/joint ]

      fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
        maiN   kahaaN  aur  ye  wabaal  kahaaN ?

        [ wabaal = calamity ]

       muzmahil  ho  gaye quwa'a 'GHalib'
        wo  anaasir  meiN 'eitdaal kahaaN ?

        [ muzmahil = exhausted/idle, quwa'a = limbs, anaasir = elements,
          'eitdaal = moderation ]

Permalink Leave a Comment

Din raat key anay janay mein

December 24, 2008 at 10:42 am (Myself & I, poetry, present)

Din raat key anay janay mein
dunya key ajaib khanay mein

kabhi sheeshay dhundlay hotay hain,
kabhi manzar saaf nahin hotay…
kabhi suraj baat nahin kerta,
kabhi taray ankh badaltay hain…
kabhi manzil peechay rehti hay,
kabhi rastay agay chltay hain!!!

Kabhi asain tor nahin charhti,
kabhi khadshay pooray hotay hain.
Kabhi ankhain deikh nahin saktein
Kabhi khwab adhoray hotay hain.

yeh sab shai tu hay leikin
is ashoob key manzar namay mein
din rat key anay janay mein
dunya key ajaib khanay mein

Kabhi saya karti ankhon key
payman tu dikhai detay hain
hathon sey agarchay door sahi

Manzil sey koson door sahi
per door sahi, ranjoor sahi,
zakhmon sey musaffir choor sahi
per kis sey kahein, “ay-jan-e-wafa”
“kuch ghao tu aisay hotay hain
jinhain zakhmi aap hi dhotay hain
bin roye huay anso ki tarah
sapnay mein chupa ker rakhtay hain
or sari umar nahin rotay

Neendain bhi muhaya hoti hay
sapnay bhi door nahin hotay
kiyon phir jagtay rehtay hain??
kiyon sari raat nahin sotay???

Ab kis sey kahein a jan-e-wafa, a ahl-e-wafa
kis aag mein jaltay rehtay hain,
kiyon bujh key rakh nahin hotay.
imkan tu dikhai detay hain

One of my most favorite ones.

Wish I could bring you back.Wish I could tell you how much you are missed.

Permalink Leave a Comment

after closing eyes.

December 24, 2008 at 7:05 am (Myself & I, poetry)

Jis din band karli apni aankhein ,

Kai aankhon se us din aansu barsenge,

Jo kehte hai ki bahut tang kartey hain hum unhe,

Wahi humari ek shararat ko tarsenge…. ……..

Permalink Leave a Comment

تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

December 22, 2008 at 11:37 am (Uncategorized)

ہم بھی کچھ خوش نہیں وفا کر کے
تم نے اچھا کیا نباہ نہ کی

تو کہاں جائے گی کچھ اپنا ٹھکانا کر لے
ہم تو کل خواب عدم میں شب ہجراں ہوں گے

تم مرے پاس ہوتے ہو گویا
جب کوئی دوسرا نہیں ہوتا

الجھا ہے پاؤں یار کا زلف دراز میں
لو آپ اپنے دام میں صیاد آ گیا

اس غیرت ناہید کی ہر تان ہے دیپک
شعلہ سا لپک جائے ہے آواز تو دیکھو

تیری نگاہ شرم سے کیا کچھ عیاں نہیں
میں اپنی چشم شوق کو الزام خاک دوں

کیا دل کو لے گیا کوئی بیگانہ آشنا
کیوں اپنے جی کو لگتے ہیں کچھ اجنبی سے ہم

جسے آپ گنتے تھے آشنا ، جسے آپ کہتے تھے باوفا
میں وہی ہوں مومنِ مبتلا ، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

تم نے اچھا کیا نباہ نہ کی

تو کہاں جائے گی کچھ اپنا ٹھکانا کر لے
ہم تو کل خواب عدم میں شب ہجراں ہوں گے

تم مرے پاس ہوتے ہو گویا
جب کوئی دوسرا نہیں ہوتا

الجھا ہے پاؤں یار کا زلف دراز میں
لو آپ اپنے دام میں صیاد آ گیا

اس غیرت ناہید کی ہر تان ہے دیپک
شعلہ سا لپک جائے ہے آواز تو دیکھو

تیری نگاہ شرم سے کیا کچھ عیاں نہیں
میں اپنی چشم شوق کو الزام خاک دوں

کیا دل کو لے گیا کوئی بیگانہ آشنا
کیوں اپنے جی کو لگتے ہیں کچھ اجنبی سے ہم

جسے آپ گنتے تھے آشنا ، جسے آپ کہتے تھے باوفا
میں وہی ہوں مومنِ مبتلا ، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

Permalink Leave a Comment

Jo hoga…

December 21, 2008 at 11:30 am (Myself & I, poetry)

Ab kyun us din ka zikar karo

Jab dil tukre ho jaye ga

Aur saare gham mitt jaayein ge

Jo kuch paaya kho jaaye ga

Jo mill na saka woh paayein ge

Yay din to wohee pehla din hai

Jo pehla din tha chahat ka

Hum jis ki tamanna karte rahe

Aur jis se har dum darte rahe

Yay din to kitni baar aaya

So baar basay aur ujar gayay

So baar luttay aur phir paaya

Ab kyun us din ki fiqar karo

Jab dil tukre ho jaaye ga

Aur saare gham mitt jaayein ge

Tum khauf-o-khatter se dar guzro

Jo hona hai so hona hai

Gar hansna hai to hansna hai

Gar rona hai to rona hai

Tum apni karni kar guzzro

Jo hoga dekha jaaye ga.

Faiz Ahmed Faiz

Permalink Leave a Comment

kyaa ruKhsat-e-yaar kii ghaDii thii

December 21, 2008 at 10:36 am (Uncategorized)

kyaa ruKhsat-e-yaar kii ghaDii thii

kyaa ruKhsat-e-yaar kii ghaDii thii
ha.Nsatii hu_ii raat ro paDii thii

ham Khud hii hue tabaah varnaa
duniyaa ko hamaarii kyaa paDii thii

ye zaKhm hain un dinon kii yaaden
jab aap se dostii baDii thii

jaate to kidhar ko tere vahashii
zanjiir-e-junuuN ka.Dii paDii thii

Gam the ki 'Faraz' aaNdhiyaaN thii
dil thaa ki 'Faraz' pankhudii thii

Permalink Leave a Comment

Next page »